भूषण नेरकर

chorus:

(huN huN huN huN huN huN huN huN, huN huN huN) -2

(huN huN huN) -3


ha: sun ri sakhi, meri pyaari sakhi,

ye dil kahin khoyaa hai meraa

jaane kahaaN ise bhool gayaa nahin,

kuchh bhi hai mujhko pataa


teri paayal mein maine Dhoond liyaa,

tere qadmoN tale sajni

pyaar kiyaa to jaan gayaa,

ye mushkil hai kitni


meri saaNsoN mein teraa pyaar basaa,

aaNkhoN mein tumhi sajni


sun ri sakhi, meri pyaari sakhi,

ye dil kahin khoyaa hai meraa


chorus: (huN huN huN) -2


ha: kaise tujhe izhaar karooN main haalat is dil ki

tan mein man mein is dhaDkan mein ho rahi halchal si


dekhe binaa tujhe lagti hai, ik yug si ek ghaDi

sab nazren jo dekh rahi, mere dil mein dahshat si


ye svarg hai yaa nark hai, mujhko hosh nahin

meri zindagi aur maut hai, ab haath mein tere hi..

sun ri sakhi, meri pyaari sakhi,

ye dil kahin khoyaa hai meraa


chorus: (huN huN huN huN huN huN, huN) -3


ha: koyaliyaa tu kah de to tujhe

geet sunaaooN main

naagmaNi teri naagin si zulfoN ko sanvaarooN main

chandramukhi tujhe neend nahin to lori sunaaooN main

ThanDi havaa nahin lag jaaye, tujhe chunaDi oDaaooN main

mere pyaar ki jo baat hai, kaanoN mein bataaooN main

tere qadmoN ke jo nishaan hai, yaadoN mein basaaooN main


sun ri sakhi, meri pyaari...

Categories:

Leave a Reply